Loading ...

Internet Use Karne Ke Fayde aur Nuksan In Hindi

internet use karne ke fayde aur nuksan jane hindi me, advantages and disadvantages of using the internet
Advantages and disadvantages of using the internet, Internet use karne ke fayde aur nuksan jane hindi me. Hello friends aajke is post me main aap logo ke sath share karunga internet ko istemal karne se aapko kya kya fayde hote hai aur kya kya nuksan hote hai. Internet kya hai sayed aapko pata hai aur jab se jio aya hai tab se india me bahut internet user badh gaya hai. Internet ko hindi me antarjal bolte hai, iske matlab internet ke koi sima nahi hai aap kuch bhi kar sakte hai is internet ko use karke. internet ka aviskar kisne kiya tha aur kab kiya hai wo janne ke liye aap is post ko puri traha read kare.

Me pahle hi bata diya hai aaj internet ke bareme kuch nahi batane wala hu sirf batane wala hu ki is internet use karne se aapko kya kya fayda ho skata hai aur isko use karne se aapka kya kya nuksan ho sakta hai. dekhiye dosto ye to aapko pata hai har ek chiz ke acche side aur bure side dono hote hai isi traha internet ke bhi acche side aur bure side dono hai, aabhi aapke upar nirvar karte hai aap kis traha isko use karte hai aur karna chahate hai.

internet-use-karne-ke-fayde-nuksan-in-hindi

Advantages and Disadvantages of Using The Internet ?


Dekhiye dosto main pahle hi bata diya hai har ek chiz ka accha aur burqa dono side hota hai, chahe wo internet ye mobile ya TV, aabhi sawal hota hai aap usko kis traha use karte ho aagar acche kam ke liye use karte ho to aacha hai lekin aagar usko bure kam ke liye use karte ho to bure hai to niche main aisa hi kuch share kiya hai.


Internet Use Karne Ke Fayde :


Internet ke bina aabhi kuch bhi mumkin nahi hai, aap kuch bhi karlo aabhi internet bahut jarurat hota, aagar aap jald se jald kisi ko koi jaruri latter bhej na chahate ho to aapko internet use karne hoga, aagar aapko kisi ghar baythe money send karna chahate hai tab bhi aapko internet use karna hoga niche ek ek karke kuch fayde main bataya hai.


1. Online Paise Kama Sakte Hai :

Aagar aap ghar bythe online par koi kam karna chahate hai to aap aabhi internet ke madad se kar sakte hai, aagar aapko job karna accha nahi lagta hai to aap internet par bloging, typing, youtube video upload etc kar sakte ho, matlab aap chaho to ghar baythe aap internet se accha khsa paise earn kar sakte ho lekin uske liye pahle aap hard work karna hoga.


2. Business Growth Kar Sakte hai :

Aagar aapke koi business hai aur aap usko aur jada growth karna chahate hai to aapke liye best choose hai internet, kyuki aabhi jada se jada log internet use karte hai aur business ko growth karne ke liye aabhi internet aapko abhut help karega, jaise ki facebook hai, twitter hai, youtube hai in sab social site ko use karke aap aapne business ko growth kar sakte ho.


3. Start Online Business (E-commerce) :

Aagar soch rahe ho ki online business E-commerce start karoge to aap jarur kar sakte ho, kyuki aabhi world me sabse popular online business hai E-commerce, jais eki amazon hai, flipkart hai, aap bhi isi traha koi bhi business start kar sakte ho jiske liye aapko internet ki jarurat hogi.


4. Need Information :

Aagar aapko kisi bhi chiz ke Information chahiye to aapko kisi book dhundne ki jarurt nahi hai aap ghar baythe internet ke madad se Google search karke kisi bhi chiz ke Information hasil kar sakte ho, iske liye bhi aapko internet use karna hoga.


5. Entertainment :

Aagar aap Office me kam karte karte boring ho jate hai to aap aapne mobile par internet use karke khudko Entertainment kar sakte hai, jaise ki Youtube video dekh kar, Facebook use karke aur bhi bahut kuch hai jisko use kar skate hai internet par aur khudko Entertainment kar sakte hai.


To dosto yahi kuch Internet Ke Fayde hai, sirf yahi nahi, mere hisab se internet ke fayde hi fayde hai, mujhe internet istemal karne par koi nuksan najar nahi ata hai, phir bhi aap niche se dekh lijiye internet use karke aapka kya kya nuksan ho skata hai.


Internet Use Karne Ke Nuksan ?


Internet istemal karne jaise bahut sare fayde hai usi traha iska bahut nuksan bhi hai, aur aaj main aap logo ke sath aisa hi kuch internet use ke nuksan ke bareme batane wala hu.


1. Time and Money Waste:

Aagar aap ka sirf maje karne ke liye internet use karte hai to ye aapke liye koi kam ke liye hai ye aapke sirf nuksan hai, aagar aap internet par koi kam nahi karte hai sirf time pass karne ke liye karte hai to aap ye na kare, kyuki jindegi me time ka bahut jaruri hai usko asal kam ke istemal kare. kafi log aisa hota hai jo internet par sirf u hi ata hai koi kam nahi karte hai, ye sirf time and mony waste hai.


2. Personal information Leaks:

Aagar aapko internet ke wareme jada jankari nahi hai to aapke Personal information Leaks ho sakta hai, kaise bahut karna hai aap aagar aapke facebook account hai to aapke account hack ho skata hai, aapke email id hack ho kar bhi ye Personal information Leaks ho skata hai.


3. Adult and Porn Content Dekhna:

Ye jo adult content hai ye internet ke under sabse jada nuksan hai, kyuki aabhi gahr ghar me internet hai aur baccho baaho ko aabhi internet istemal karna ata hai, aur ye jo porn content aagar kisi traha aapke baccho search kar lete hai aur usko iske ware me jankari mil jata hai to sabse badi problem ho skata hai, kyuki isse aapke baccho ki life barbad ho skata hai.


4. Padhai Me Nuksan Hota hai :

Aagar aap ek student hai to aapke liye ye internet bahut badi problem ho skata hai, jo aapko pata bahi nahi chlega, kyuki internet ek aisa chiz hai jo aapko har roj aapne traf khiche chal jayega, aagar aap jada se jada time internet use karne me lagate hai to aapke padhi me bahut problem ho skata hai.


5. Virus Attack :

Aagar aap computer ya mobile par internet use karte hai to usme internet ke wajha se virus attack ho skata hai aur aapke device kharab bhi ho sakta hai, isi liye internet use karte time virus koi software, virus attack ho skata hai aisa koi website visit na kare.


6. Blue Whale Game Attack :

Friends aapko sayed is Blue Whale game ke bareme pata hai, aur aapko yebhi pata hai iske wajhe se kitne baccho ne aapna jindegi khatam kar diya hai, ye Blue Whale game internet ke madad se khela jata hai aur iske bareme baccho ko pata chalta hai isi internet ke madham se, aagar aapke baccho internet use karte hai to aap uska mobile, computer hamesa jarur check kare, taki age jakar koi katra na ho.

Friends yehi tha kuch internet use karne ke nuksan aur fayde, aagar aapko lagta hai is post se aap kuch naya sikha hai, aapko kuch naya jankari mila hai to please post ko aapne dosto ke sath share kare, koibhi sawal hai internet ke upar ko comment karke puche, aajke liye itna hi bye.

COMMENTS

BLOGGER
Name

Aadhaar,13,Affiliate Marketing,2,Android,151,AntiVirus,10,Aviskar & Khoj,46,Banking,10,Blogger Tips,71,Computer,187,Cricket,13,Design,2,Domain,4,Education,20,Facebook,70,Festival,6,Full Form in Hindi,33,Game,13,Gmail,23,Google,12,Hacking,1,Hardware,2,Hindi Review,6,Instagram Tips,7,Internet,132,Jio Phone,5,Make Money,24,Media Player,3,Microsoft Office,25,Mobile Operators,24,Motivational,2,MS Excel,10,MS Word,20,Operating System,7,PDF File,18,Photo Edit,35,Photoshop,11,Rochak Gyan,49,SEO,5,Software,43,Tech Gyan,75,Telegram,3,Template,2,Tips & Tricks,259,Top Website,11,Twitter Tips,1,Video Editing,18,Web Browser,13,Whatsapp Tips,37,Widget,12,Windows,47,Windows 10,35,Windows 11,2,Youtube,30,
ltr
item
My Hindi Tricks: Internet Use Karne Ke Fayde aur Nuksan In Hindi
Internet Use Karne Ke Fayde aur Nuksan In Hindi
internet use karne ke fayde aur nuksan jane hindi me, advantages and disadvantages of using the internet
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEj8_tpszElqzmSDBAiKP3Y9txJ-fNmAQDWlTG_Y_w_JgTaRUWjOg3LNrZXlA-a9JyWHyupZ2iZWHXj1FmBYOnzPw2qhi2LCzVVi0i9oNNsLcgmw-8_plW2_iO_dsu1v-F6VFCDxtqycBNo/s1600/Internet+Use+Karne+Ke+Fayde+aur+Nuksan+In+Hindi.jpg
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEj8_tpszElqzmSDBAiKP3Y9txJ-fNmAQDWlTG_Y_w_JgTaRUWjOg3LNrZXlA-a9JyWHyupZ2iZWHXj1FmBYOnzPw2qhi2LCzVVi0i9oNNsLcgmw-8_plW2_iO_dsu1v-F6VFCDxtqycBNo/s72-c/Internet+Use+Karne+Ke+Fayde+aur+Nuksan+In+Hindi.jpg
My Hindi Tricks
https://www.myhinditricks.com/2017/09/internet-use-karne-ke-fayde-aur-nuksan.html
https://www.myhinditricks.com/
https://www.myhinditricks.com/
https://www.myhinditricks.com/2017/09/internet-use-karne-ke-fayde-aur-nuksan.html
true
3284777665229241284
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content