Loading ...

Blogger vs Wordpress Blogging Karne Ke Liye Konsa Best Hai ?

blogger vs wordpress konsa accha hai blogging karne ke liye
Hello, Friends aajke iss post me janenge ki Blogger or Wordpress dono me se konsa Platform blogging karne ke liye sabse accha hai or konsa use karna easy hai or konsa istemal karne se aapko jada fayde hoga. Dosto agar sach me blogging karna chahate hai or aap blogging ko aapna professional karna chate hai to aap blogger ya wordpress kisibhi ek Platform ko use karke blogging start kar sakte hai. Blogging karne ke liye sabse jaruri hai content kyuki agar aapke blog par content accha nahi hoga to aap blogger use kare ya wordpress isse koi fayda nahi hoga, isi liye sabse jaruri hai quality content. Uske baad aap Platform ke bareme sochiye konsa accha hai konsa nahi. Lekin aajke iss post me sirf blogging Platform ke bareme hi bate karenge.

Abhi world me bahut sare Platform hai jis par aap asani se ek blog banakar blogging start kar sakte hai, exam: blogger, wordpress, joomla, tumblr etc. Lekin in sabme se adhik popular hai blogger.com or wordpress.org, too chaliye dekhte hai blogger vs wordpress in dono me se sabse accha kon hai or aapko konsa use karna chahiye.


blogger-vs-wordpress-konsa-accha-hai

Blogger vs Wordpress Konsa Accha Hai ?


Aagr aap blogging me ekdaom new hai or aapko blogging ke bareme jada jankari nahi hai to aapke liye blogger ekdom thik hai. Kyuki blogger ko use karna ekdom easy hai or iska sab kuch free bhi milta hai. To chaliye jante hai blogger.com kyu use karna chahiye or kyu nahi or wordpress.org kyu use karna chahiye or kyu nahi.

Blogger Kyu Use Kare ?


Dosto mene pehle hi aapko bata diya aagar aap blogging new start karna chahate hai or aapko blog ke bareme bilkul nahi pata hai to aapke liye blogger.com ekdom perfect hai. Kyu ki iss ko use karna asan hai koibhi isko use kar sakta hai aagar aapko HTML, CSS coding nahi ata hai phir bhi aap isko use kar sakte hai asani se. To chaliye jante hai blogger me kya kya free subidha milta hai.

1. Blogger.com par agar aap blog banate hai to aapko hosting kharid ne ki jarurat nahi hai, kyu ki blogger aapko 15GB tak free hosting ekdom free me dega jo ek blogger ke liye kafi hai.

2. Template aapko internet me ekdom free mil jayega or blogger template edit karna bahut asan hai koibhi edit kar sakge.

3. Agar aap domain nahi kharid na chahate hai to koi problem nahi aapko free ek sub domain mil jayega jo blogspot.com hai.

4. Aap 100 author add kar sakoge ekdom free.

5. Blogger google ka hai isi liye aapko Adsense pane me kafi asan hoga.

6. Blogge me aapko SEO alag se nehi karna padta hai aagar aap SEO friendly template use karo to.

7. Blogger use karne ke sabse bada fayda hai blogger.com full free hai aapko sab kuch free milega 1 paise bhi nahi dena padega, joki new blogger ke liye bahut accha hai.


Blogger Kyu Use Na Kare ?


Dosto upar hum blogger ke kuch acche side ke bareme jana hai abhi hum janenge ki blogger kyu istemal na kare. Blogger ko use na karne ke bahut sare karan hai jo niche main ek ek karke bataya hai.

1. Blogger ke sab kuch google ka hai isi liye ye ekdom free hai hosting bhi free hai isi liye agar aap blog par kuch galti karte hai to aapke blog delete ho sakta hai.

2. Aagar aap chahate hai ki aapne blogger par author add karoge to aap 100 se jada author nahi add kar sakte.

3. Blogger par aap koibhi plugin nahi use kar sakte isi liye aap chaha kar bhi aapne pasend ke kaam nahi kar sakte jo wordpress par asani se kar sakte ho.

4. Blogger SEO friendly nahi hai, dosto kafi logo ko maan na hai ki blogger wordpress ke trha seo friendly nahi hai jo sabse problem hai. ( but ye bat 100% jhut hai aisa nahi hai seo ke mamle me blogger ekdam sahi hai)

Dosto upar mene aapko blogger.com kyu use karna chahiye or kyu nahi dono bata diya hai agar aapko lagta hai aapke liye blogger.com sahi hai to aap blogger ko use kar sakte hai.


Wordpress Kyu Use Kare ?


wordpress use karne ke bahut sare karan hai or abhi world me jada tar pro blogger wordpress use karta hai. Nich main kuch karan share kiya hai jo sayed aapko accha lage ga.

1. Wordpress Bahut accha SEO friendly hai jo sabse accha karan hai is use karne ka. kyuki yoast seo naam ka ek bahut accha plugin wordpress par milta hai jo bahut kam ka hai seo ke liye.

2. Aagar aap professionally blogging karna chahate hai or long time blogging karna chahate hai to aapke liye wordpress better hai.

3. Wordpress par jo hosting hota hai wo aapke khudke hota hai isi liye blog delete hone ka dar nahi hota hai.

4. Aap jitna chahe wordpress par author add kar sakte hai koi limit nahi hai jo blogger.com par hai only 100 author.

5. Wordpress par bahut sare free plugin milta hai or wordpress plugin support karta hai jo blogger nahi karte.

6. wordpress par aagar aap blog banate hai to aapke blog ke control aapke haat me hota hai jo blogger par nahi hota hai.


Wordpress ko Kyu Use Na Kare ?


Wordpress par blog banane ke bahut karan hai lekin blog na karne ka bhi karan hai, jo mene niche batane ki kousis kiya hai.

1. Agar aap new blogging start kiya hai to wordress aap na use kare to aapke liye accha hai kyuki wordpress ko use karna kafi muskil hai, blogger ki traha easy to use nahi hai wordpress use karne ke liye aapko pehle wordpress sikhna hoga.

2. Wordpress.com par aapko 5 GB tak free hosting milta hai lekin aagar aap wordpress.org use karte hai to aapko kuch bhi free nahi milga hosting domain sab kuch aapko kharid na hoga jo new blogger ke liye kafi badi problem hai.

3. Aagr aapko wordpress nahi ata hai to aap wordpress use nahi kar pawoge kyuki wordpress par hosting use karna hai wordprsss ko install karna hai domain setup karna hai jo ek new blogger ke liye problem ho skata hai or agar aap kisi se wordpress blog design karwona chahte hai to aapko or bhi paise kharch karna hoga.

4. wordpress par blogger ki traha free Theme yani ki Template utna nahi milta hai or wordpress Template ke price bhi kafi hai aapko 58$ ke niche koibhi template nahi milega, jo blogger.com par 21$ par badiya template mil jata hai.

5. Aagr aapko wordpress nahi ata hai to aapke blog kabhi bhi hack ho sata hai, kyuki wordpress aapko koibhi security nahi deta hai joo kuch bhi karna hai sab aapko hi karna hai.

Dosto uapar mene aapko sirf blogger or wordpress ke kuch karna bataya hai jo ki aapko wordpress use karna hai to kyu karna hai or nahi to kyu nahi. Or agar aapko blogger use karna hai to kyu karna hai or nahi karna hai to kyu nahi. Aagar aap upar ke sare baat ko dhyan se padhe to aapko sab kuch samaj me aa jayega.


Final Word :

Aagar aap Sach me blogging karke kuch paise kamana chahate hai or blogging karke aapna career banana chahate hai to mere hisab se Wordpress accha hai. Lekin dosto agar aap blogging me ekdom new hai to mere hisab se aapko pehle blogger par blog karna chahiye uske bad baad me wordpress par jana chahiye. Upar mene jo kuch batana chahiye bata diya hai abhi aap thik kare aapke liye konsa Platform thik hai konsa nahi.

Aagr aapko iss post se thoda bohut madat milta hai to please post ko aapne dosto ke saath share kare, post kaisa laga comment karke bataye.

COMMENTS

BLOGGER: 6
  1. supb oswm bro
    muje ek bat puchni agar hum kisi ke blog mese koi cheez copy karte he to kya hota he agar hume 1-2 topics hi copy karke add karne he too hum karsakte he ...???
    my mail id : [email protected]

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap aagar bloging sach me karna chahate ho too aap 1 post bhi copy maat kare, aap kaam se kaam post kare but khudke idea se post kare, kisi ke bhi post copy na kare..

      Delete
    2. @Dax ghoda भाई आगर आप direct copy-paste करते हो तो आप भाले हे 1 या 2 line copy कियू न कारो इससे आपको खतरा रेह जाता है,इससे अच्छा आप उनकी topic को पहले समझो फिर आपने जैसे लिखो.
      मे आशा करता हु आपको मेरी जानकारी पसंद आई है.
      एकबार मेरी site को भी जरूर चेक कारे :https://www.voxin.in/2019/03/blogger-or-wordpress-konsa-best-hain.html

      Delete
  2. Best Post 👍👍👍 Bahut acha aap ni describe kiya hindi main Wordpress vs blogger ,

    agar mujhe help chaheye to ho sakti hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jo bhi help apko chahiye comment kare hum kosis karenge apko help karne me Thanks

      Delete
  3. Really nice post keep posting this kind of staff thanks again

    ReplyDelete
अगर आपको ये पोस्ट अच्छा लगा है तो निचे कमेंट करे, और कोई भी गलत शब्द का इस्तेमाल ना करे. अगर कोई भी गलत कमेंट किया तो आपके कमेंट डिलीट कर दिया जायेगा.

Name

Aadhaar,13,Affiliate Marketing,2,Android,151,AntiVirus,10,Aviskar & Khoj,46,Banking,10,Blogger Tips,71,Computer,187,Cricket,13,Design,2,Domain,4,Education,20,Facebook,70,Festival,6,Full Form in Hindi,33,Game,13,Gmail,23,Google,12,Hacking,1,Hardware,2,Hindi Review,6,Instagram Tips,7,Internet,132,Jio Phone,5,Make Money,24,Media Player,3,Microsoft Office,25,Mobile Operators,24,Motivational,2,MS Excel,10,MS Word,20,Operating System,7,PDF File,18,Photo Edit,35,Photoshop,11,Rochak Gyan,49,SEO,5,Software,43,Tech Gyan,75,Telegram,3,Template,2,Tips & Tricks,259,Top Website,11,Twitter Tips,1,Video Editing,18,Web Browser,13,Whatsapp Tips,37,Widget,12,Windows,46,Windows 10,35,Windows 11,1,Youtube,30,
ltr
item
My Hindi Tricks: Blogger vs Wordpress Blogging Karne Ke Liye Konsa Best Hai ?
Blogger vs Wordpress Blogging Karne Ke Liye Konsa Best Hai ?
blogger vs wordpress konsa accha hai blogging karne ke liye
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiNunTil_Irg5DVcXsy91bQ31aAm8nGZkKOKmovhcOOSTfmf443obrp36JXrFAVKNYf8YMVtnT3Lr7OOZ3rv2qjD6SDtHgkE6r0nz9XwwaSp-2lBCdUyn2PcD97k9DbsQzcLG8soJjFsY0/s1600/blogger-vs-wordpress-blogging-ke-liye-konsa-thik-hai.jpg
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiNunTil_Irg5DVcXsy91bQ31aAm8nGZkKOKmovhcOOSTfmf443obrp36JXrFAVKNYf8YMVtnT3Lr7OOZ3rv2qjD6SDtHgkE6r0nz9XwwaSp-2lBCdUyn2PcD97k9DbsQzcLG8soJjFsY0/s72-c/blogger-vs-wordpress-blogging-ke-liye-konsa-thik-hai.jpg
My Hindi Tricks
https://www.myhinditricks.com/2016/10/blogger-vs-wordpress-konsa-platform-accha-hai.html
https://www.myhinditricks.com/
https://www.myhinditricks.com/
https://www.myhinditricks.com/2016/10/blogger-vs-wordpress-konsa-platform-accha-hai.html
true
3284777665229241284
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content