Loading ...

Pan Card Kaise Banaye? ऑनलाइन पैन कार्ड कैसे बनवाये पूरी जानकारी

Pan card kaise banaye? Online pan card kaise banate hai puri jankari hindi me
Pan card kaise banaye? Online apply for pan card, Hello friends ajke is post me main aap logo ke sath share karunga ki online pan card kaise banwate hai! agar apke pass abhi bhi khub pan card nahi hai to aap ajke is post ko follow karke bahut asan tarike se apne ghar baythe online pan card bana sakte ho. Aabhi pan card banane ke liye apko offline koi bhi documents submit karne ki jarurat nahi padega aap online hi sab kar sakoge. Pan card kitna jaruri hai ye har ek indian ko pata hai aur apko ye bhi pata hai ek pan card banane ke liye log kitna paisa mangte hai.

Lekin agar apke pass internet hai to apko kisi ke pass jane ki jarurat nahi hai aap khud ajke is post ko follow karke apne liye pan card apply kar sakte ho, is kam ke liye apko kuch paisa online bhi pay karna padega jiske liye apke pass kisi bhi bank ka debit card ya netbanking hona jaruri hai, to dosto aur bat na karke chaliye jante hai kaise online pan card ke liye apply karte hai.

Read: Online Voter ID Card Details Check Kaise Kare

pan-card-kaise-banaye-hindi-me


Online Pan Card Kaise Banaye? How to Apply For Pan Card with Sign?


Aagar aap online pan card banate ho to apko jada documents ki jarurat nahi padega sirf aapka aadhaar card se hi sab kam ho jayega, lekin aaj jo main pan card banwane ki processing aap logo ke sath share karunga uske liye apko kuch documents scan karna hoga jaise ki apke aadhaar card ka PDF file, apke signature ke scan, ye sab kyuki aaj jo processing me aap logo ke sath share karne wala hu isse apko pan card ke upar signature dekhne ko milega.

To dosto post ko dhayan se follow kare kyuki post thoda lamba hone wala hai aur kuch documents bhi scan karna padega so time thoda jada lagega just mera bataya huya step ko follow kare. Aajke is processing ko follow karke pan card banane ke liye apke pass jo kuch hona bahut jaruri hai.

  1. Aadhaar card ka PDF file (300kb).
  2. Khudke signature ke scan copy.
  3. Khudke Photo ke scan copy.
  4. Debit card or Net Banking. (Online Payment Karne ke Liye)

Step 1. Sabse Pahle visit karna hai "www.onlineservices.nsdl.com" is website par, ye pan card banane ke liye website hai, abhi apko website par 2 option milega.

  1. Online Apply
  2. Registered User

Step 2. Aaj ham fresh pan card banana sikhenge isi liye "Online Apply" par click kare, uske bad niche screenshot hai usko follow karke form ko sahi se fill up kare.

how-to-make-pan-card-online-hindi
1. Application Type : Is option par apko select karna hai "New PAN - Indian Citizen (Form 49A)".

2. Category : Yaha apko "INDIVIDUAL" select karna hoga.

3. Title : Is jaga par apko aapne Name ka title select karna hoga, agar aap ladka hai to "Shri" agar ledki ho to "Smt" agar kumari ho to "Kumari" select karna hoga.

4. Last Name: Aabhi is jaga apko apne naam ke "Last Name" dalna hoga.

5. First Name: Is jaga apko apne naam ke "First Name" dalna hoga.

6. Middle Name: Agar apke naam ke Middle name hai to apko is jaga middle name ko dalna hoga.

7. Date of Birth: Aadhaar card par jo date of birth hai same wohi date of birth ko dale.

8. Email ID: Apko is jaga ek "Email ID" dalna hoga, agar apke pass email id nahi hai to "email id kaise banaye" is post ko read karke ek free email id banaye.

9. Mobile No: Aadhaar card se link hai jo mobile number usi mobile no ko is box me dale. (Aagar apke mobile no aadhaar card se link nahi hai to aap is tips ko follow karke pan card nahi bana sakte).

10. Captcha Code : Box me jo "Captcha Code" hai usko sahi se dale.

11. Submit : Sab kuch sahi se dalne ke bad apko "SUBMIT" par click karna hoga.


Step 3. Upar sab kuch sahi se karne ke bad Submit karne ke bad apke samne jo page ayega udhar apko ek "Token No" milega usko copy kare bad me kam ayega. Uske bad niche se "Continue With Pan Application Form" par click kare.

pan-card-kaise-banaye


Step 4. Aabhi apke samne jo page khulega usme apko 3 option milega pan card banane ke. aap 3 me se kisi bhi option ko select karke pan card banwa sakte ho, to chaliye dekhte hai 3 wo option ka kam kya hai aur aaj ham kis option ko use karke pan card banayege.

online-pan-card-kaise-banaye


Submit Digitally Through e-KYC & e-Sign (Paperless) : IS option ko use karke agar aap pan card banwate ho to apke pan card par signature show nahi karega.

submit scanned images through e-Sign : Is option ko select karke agar aap pan card banante ho to apke pan card par signature show karega, but is opiton ko use karke pan card banwane ke liye aapko aapna signature, image ke scan copy aur aadhaar card ke PDF file submit karna hoga.

Forward Application Documents Physically : Agar aap is option ko use karke pan card banate ho to apko apna sabhi document ko nsdl ko mail karke send karna hoga tab jake apke pan card banega.

To dosto aaj ham sikhenge ki kaise pan card banaye wo bhi signature ke sath matlab aaj ham 2nd opiton "submit scanned images through e-Sign" isko use karke pan card banayege. 

Step 5. Abhi apko "submit scanned images through e-Sign" is option ko select karna hoga, uske bad aap niche screenshot ko dekh kar apne form ko bhi fill up kare.

online-pan-card-kaise-banaye

1. Aadhaar No : Is box par apna aadhaar card no ko dale.

2. Aadhaar card par jo name hai usi name ko is box par dale.

3. Title, Last Name, First Name ot Middle Name ko type kare. ( Aagar last aur middle name nahi hai to sirf last par hi apna naam type kare)

4. Aadhaar card par jo date of birth aapne diya hai usi date of birth ko dale.

5. Pan card par Father or Mother me se jiska name show karnwana chahate hai wo select kare, main Father ko hi select kiya aap bhi kare. (Aagar aap ladki hai to apko Father name hi select karna hoga).

6. Aapne Father ke Last Name, First Name aur Middle Name ko type kare.

7. Sab sahi se karne ke bad "Next" par click kare.


Step 6. Aabhi apke samne aur ek page ayega idhar bhi apko kuch information dena hoga, jaise apka income source kya hai, apka phone no, Address ye sab niche main screenshot diya hai usko follow kare aur form ko fill up kare.

pan-card-kaise-banaye


1. Apka source of income kya hai apko wo select karna hoga, aap "Income form other source" ko select kare. 

2. Aap Pan card ko kis address par lena chahate hai wo select kare 2 option hai, Residence aur Office agar aap ghar ke address par pan card lena chahate hai to apko "Residence" option ko select karna hoga.

3. Aabhi aap apne ghar ka address ko sahi se dale Pin code ke sath.

4. Aabhi aapko is option par Phone no dalna hoga, pahle Country code select kare (+91) uske bad apna mobile dale, niche apna email id bhi dale. (email id kaise banaye is post se sikhe).

5. Abhi just "Next" par click kare.


Step 7. Upar ke sabhi kam sahi se karne ke bad apke samne aur ek option ayega idhar apko "AO Code" dalna hoga, jahir si bat hai ki apko AO Code pata nahi hai, to uske liye apko jo kuch karna hai niche main screenshot ke jariye bataya hai.

pan-card-kaise-banaye-tips-hindi

1. Pahle apko "India Citizen" ko select karna hai.

2. Aabhi aapke "State" ko select karna hoga.

3. Abhi apke state ke aap konse city par hai wo city select kare.

4. Abhi apko niche bahut sare AO Code milega apke ass pass ke jo Center hai usko ap select kare.

5. Sab sahi se karne ke bad "Next" par click kare.

Step 8. Upar sabhi kam sahi se karne ke bad apke samne aur ek page khulega, is page par bhi apko kuch information dena hoga, jaise ki "Proof of identity, Proof of Address & Proof of Date of Birth" aur apko photo scan copy, signature scan copy and Aadhaar card ke PDF file upload karna hoga. Niche screenshot ke jariye sab bata di hai aap follow karke form ko fill up kare.

pan-card-kaise-banaye-hindi


1. Pahle option par apko "Proof of identity, Proof of Address & Proof of Date of Birth" select karna hoga, agar apke aadhaar card ke sath kuch match karta hai to aap 3 option par "aadhaar card issued by the unique identification authority of india" option ko select kare.

2. Is option par aap Himself select kare, agar aap ladki ho to Herself ko select kare.

3. Aap kaha se ho wo select kare.

4. Aapko apna khudke ek Photo copy scan karke isi jaga upload karna hoga, aap check kare apko bata raha hai ki photo copy ka size kitna hona chahiye. (Mobile se Photo Scan Kaise Kare)

5. Is box par apko khudka signature ka scan copy upload karna hoga, size kitna hoga usi jaga par apko bataya hai. (Mobile Se signature Scan Kaise Kare

6. Yeha apko Aadhaar Card ke ek PDF file upload karna hoga, apke jo aadhaar crad hai usko scan karke pdf me convert karke upload kare. (Aadhaar card ke PDF file Download Kaise Kare)

7. Sab kuch sahi se fill up karne ke bad apko "Submit" par click karna hoga.


Step 8. Aabhi tak apne jitne kuch information dala hai wo sab show karega aap sab kuch sahe se check kare, agar kuch changes karna ho to "Edit" par click kare, agar sab thik hai to "Proceed" par click kare.

pan-card-kaise-banaye

Step 9. Abhi apke samne Payment ka page ayega, matlab apko payment karna hoga kuch 100-150Rs ke under pay karna hoga. Payment karne ke liye aap "online payment through bill desk" option ko select kare.

Step 10. Uske bad apke samne sab kuch karega matlab kitna payment karna hoga wo sab, uske bad niche se "i agree to primo terms of service" ko select kare, uske bad "Proceed to Payment" par click kare.

Step 11. Proceed to payment par click karne ke bad aur ek page ayega udhar se aap "Pay conform" par click karna hai.

pan-card-kaise-banaye


Step 12. Abhi apke samne main payment page ayega abhi aap "Debit card, Net Banking" istemal karke payment kare. payment karne ke bad aap niche ki step ko follow kare.

pan-card-kaise-banaye-hindi-tips


Step 13. Apka payment complete hone ke bad apko jo option milega uske ekdam niche "Continue" par click kare.


Step 14. Abhi apke samne jo page ayega usme se niche apko thik mark karna hai uske bad "Authenticate" par click kare.

pan-card-kaise-banaye-hindi

Step 15. Abhi apke samne jo option ayega usme se aap "Continue" par click kare.

Step 16. Jab par upar "Continue" par click karoge tab apke jo mobile no aadhaar card se link hai us par ek OTP ayega us OTP ko aap niche box par dale, uske bad "Submit" par click kare.

pan-card-kaise-banaye-hindi

Step 17. Uapar aap otp dal kar submit par click karte hi apke samne aur ek page ayega, usme se aapko thik mark karna hai uske bad niche se "Generate OTP" par click karna hai.

pan-card-kaise-banaye

Step 18. Upar "Generate OTP" par click karne ke bad apke mobile par phir ek OTP ayega, us OTP ko aap niche box par dale uske bad "Submit" par click kare.

apply-pan-card-for-online

Step 19. Abhi aapke pan card apply ka kam pura ho chuka hai, agar aap upar ke sabhi kam sahi se karte hai to apko niche ki traha ek message milega.

pan-card-kaise-banaye

20. iske matlab aapke pan card apply proceed complete hogaya hai, abhi apko niche ek PDF File milega usko aap download karke ya print karke aapne pass rakh sakte ho, abhi aap 10-15 wait kare aapke address par pan card a jayega.

To dosto aabhi tak hamne sikha online pan card kaise banate hai, agar apko is post se thoda bhi help mila to please post ko share kare, agar aapko pan card ke bareme koi bhi sawal puch na ho to niche comment kare, ajke liye itna hi jald milte hai naya post ke sath bye.

COMMENTS

BLOGGER: 1
अगर आपको ये पोस्ट अच्छा लगा है तो निचे कमेंट करे, और कोई भी गलत शब्द का इस्तेमाल ना करे. अगर कोई भी गलत कमेंट किया तो आपके कमेंट डिलीट कर दिया जायेगा.

Name

Aadhaar,13,Affiliate Marketing,2,Android,151,AntiVirus,10,Aviskar & Khoj,46,Banking,10,Blogger Tips,71,Computer,187,Cricket,13,Design,2,Domain,4,Education,20,Facebook,70,Festival,6,Full Form in Hindi,33,Game,13,Gmail,23,Google,12,Hacking,1,Hardware,2,Hindi Review,6,Instagram Tips,7,Internet,132,Jio Phone,5,Make Money,24,Media Player,3,Microsoft Office,25,Mobile Operators,24,Motivational,2,MS Excel,10,MS Word,20,Operating System,7,PDF File,18,Photo Edit,35,Photoshop,11,Rochak Gyan,49,SEO,5,Software,43,Tech Gyan,75,Telegram,3,Template,2,Tips & Tricks,259,Top Website,11,Twitter Tips,1,Video Editing,18,Web Browser,13,Whatsapp Tips,37,Widget,12,Windows,47,Windows 10,35,Windows 11,2,Youtube,30,
ltr
item
My Hindi Tricks: Pan Card Kaise Banaye? ऑनलाइन पैन कार्ड कैसे बनवाये पूरी जानकारी
Pan Card Kaise Banaye? ऑनलाइन पैन कार्ड कैसे बनवाये पूरी जानकारी
Pan card kaise banaye? Online pan card kaise banate hai puri jankari hindi me
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgbuXP5GRXv0Kad44W4Glm50zrrs30e6__x9JCv-p4ybyElCJigPsuVUr13j8JuoyqHQPmMovfWjYsOQi5YoQ3IHkwkGFYiuec5hN05flY8CqBQr-_X-w-Gg96mE6aaO0NfPJ3Pmer2UQE/s1600/pan-card-kaise-banaye.png
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgbuXP5GRXv0Kad44W4Glm50zrrs30e6__x9JCv-p4ybyElCJigPsuVUr13j8JuoyqHQPmMovfWjYsOQi5YoQ3IHkwkGFYiuec5hN05flY8CqBQr-_X-w-Gg96mE6aaO0NfPJ3Pmer2UQE/s72-c/pan-card-kaise-banaye.png
My Hindi Tricks
https://www.myhinditricks.com/2018/07/pan-card-kaise-banaye.html
https://www.myhinditricks.com/
https://www.myhinditricks.com/
https://www.myhinditricks.com/2018/07/pan-card-kaise-banaye.html
true
3284777665229241284
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content